SEARCH RESULTS
Showing search results for "کف_افسوس"
Sher MATCHES FOR "کف_افسوس"
Sher
Afzal Sarsavi
Sher
haath dono.n kaf-e-afsos kii suurat likkhe
kii jo naqqaash ne tasviir hamaarii tayyaar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
gar maluu.n mai.n kaf-e-afsos to ha.nstaa hai vo shoKH
haath me.n haath kisii shaKHs ke de kar apnaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
haath milvaate ho tarsaa.e gilaurii ke liye
kaf-e-afsos na mal jaa.e kahii.n paa.nv me.n
Muneer Shikohabadi
Sher
tum ko samjhaa.e 'mubaarak' ko.ii kyuu.nkar afsos
tum to rone lage yaar aur bhii samjhaane se
Mubarak Azimabadi
Sher
tum ko afsos tumhe.n Thiik banaayaa na gayaa
aur ik ham ki abhii chaak pe rakkhe na ga.e
Nivesh Sahu
Sher
bosaa.n labaa.n sii.n dene kahaa kah ke phir gayaa
pyaala bharaa sharaab kaa afsos gir gayaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
shikva nahii.n duniyaa ke sanam-haa-e-giraa.n kaa
afsos ki kuchh phuul tumhaare bhii mile hai.n
Zaki kakorvi
Sher
afsos ki ik shaKHs ko dil dene se pahle
maTke kii tarah Tho.nk bajaa kar nahii.n dekhaa
Dilawar Figar
Sher
nahii.n afsuu.n hii ko afsaane kii manzil ma.aluum
Galat aaGaaz kaa hotaa hii hai anjaam Galat
Jameel Mazhari
Sher
u.ngliyaa.n ghis ga.ii.n yaa.n haatho.n ko malte malte
lekin afsos navishta na miTaa qismat kaa
Sanaullah Firaq
Sher
hai afsos ai umr jaane kaa tere
ki tuu mere paas ek muddat rahii hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
karuu.n kis kaa gila kahte hu.e bhii sharm aatii hai
raqiib afsos apne hii puraane aashnaa nikle
Aish Meeruthi
Sher
eid tuu aa ke mire jii ko jalaave afsos
jis ke aane kii KHushii ho vo na aave afsos
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
she'r kahne pe ba.Dii daad milii hai mujh ko
haa.e afsos ki ash'aar ko samjhaa jaataa
Mohammad Hasnain Parwez
Sher
aziizo aa.o ab ik al-vidaa.ii jashn kar le.n
ki is ke baa'd ik lambaa safar afsos kaa hai
Khurshid Talab
Sher
yaar ko dekhte hii mar ga.e ai 'bahr' afsos
KHaak merii ko.ii aa.nkho.n me.n qazaa kii jho.nke
Imdad Ali Bahr
Sher
sa.ng ko aab kare.n pal me.n hamaarii baate.n
lekin afsos yahii hai ki kahaa.n sunte ho
Qayem Chaandpuri
Sher
afsos mujh ko chho.D ke jaane se peshtar
vo jaa chukaa thaa mujh ko KHabar baa'd me.n hu.ii