SEARCH RESULTS
Showing search results for "کنارا"
Sher MATCHES FOR "کنارا"
Sher
ab to mil jaa.o hame.n tum ki tumhaarii KHaatir
itnii duur aa ga.e duniyaa se kinaaraa karte
Obaidullah Aleem
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n
Tahzeeb Hafi
Sher
azal se qaa.em hai.n dono.n apnii zido.n pe 'mohsin'
chalegaa paanii magar kinaara nahii.n chalegaa
Mohsin Naqvi
Sher
Basit Bhopali
Sher
jaate jaate diyaa is tarah dilaasaa us ne
biich dariyaa me.n ko.ii jaise kinaara niklaa
Lutf-ur-rahman
Sher
Saleem Kausar
Sher
KHudii vo bahr hai jis kaa ko.ii kinaara nahii.n
tuu aabjuu ise samjhaa agar to chaara nahii.n
Allama Iqbal
Sher
mire naaKHudaa na ghabraa ye nazar hai apnii apnii
tire saamne hai tuufaa.n mire saamne kinaaraa
Farooq Banspari
Sher
is jahaa.n me.n nahii.n ko.ii ahl-e-vafaa
ai 'fanaa' is jahaa.n se kinaaraa karo
Fana bulandshahri
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ham gardish-e-girdaab-e-alam se nahii.n Darte
tuufaa.n hai agar aaj kinaara bhii to hogaa
Athar Raz
Sher
is se pahle ki ye aazaar gavaara kar le.n
aa mirii jaan mohabbat se kinaara kar le.n
Vipul Kumar
Sher
paa.nv uThte hai.n kisii mauj kii jaanib lekin
rok letaa hai kinaara ki Thahar paanii hai
Akram Mahmud
Sher
ham se aabaad hai ye sher-o-suKHan kii mahfil
ham to mar jaa.e.nge lafzo.n se kinaara kar ke
Hashim Raza Jalalpuri
Sher
Gam me.n Duube hii rahe dam na hamaaraa niklaa
bahr-e-hastii kaa bahut duur kinaaraa niklaa
Bekhud Dehlvi
Sher
ham hai.n ehsaas ke sailaab-zada saahil par
dekhiye ham ko kahaa.n le ke kinaaraa jaa.e
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
umr apnii to isii taur se guzrii hai 'habiib'
rahaa tuufaa.n hii nigaaho.n me.n kinaara na rahaa