SEARCH RESULTS
Showing search results for "کند"
Sher MATCHES FOR "کند"
Sher
daulat ke daa.nt kund kiye mere hirs ne
khaTTaa tamaam sharbat-e-diinaar kar diyaa
Muneer Shikohabadi
Sher
tezii-e-baada kujaa talKHii-e-guftaar kujaa
kund hai nashtar-e-saaqii se sinaan-e-vaa.iz
Habeeb Moosavi
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
qismat to dekh TuuTii hai jaa kar kahaa.n kamand
kuchh duur apne haath se jab baam rah gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
vo kare.n bhii to kin alfaaz me.n teraa shikva
jin ko terii nigah-e-lutf ne barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
na kohkan hai na majnuu.n ki the mire hamdard
mai.n apnaa dard-e-mohabbat kahuu.n to kis se kahuu.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
ham ko bharam ne bahr-e-tavahhum banaa diyaa
dariyaa samajh ke kuud pa.De ham saraab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
zindagaanii kii haqiiqat kohkan ke dil se puuchh
juu-e-shiir o tesha o sa.ng-e-giraa.n hai zindagii
Allama Iqbal
Sher
ai Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaano.n se tabii.at raah par laa.ii ga.ii
Sahir Ludhianvi
Sher
kunj-e-qafas hii jis kaa muqaddar hu.aa 'jamiil'
us kii nazar me.n daur-e-KHizaa.n kyaa bahaar kyaa