SEARCH RESULTS
Showing search results for "کھوتی"
Sher MATCHES FOR "کھوتی"
Sher
raat yuu.n dil me.n tirii kho.ii hu.ii yaad aa.ii
jaise viiraane me.n chupke se bahaar aa jaa.e
Faiz Ahmad Faiz
Sher
sunaa hai sachchii ho niiyat to raah khultii hai
chalo safar na kare.n kam se kam iraada kare.n
Manzoor Hashmi
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
KHato.n ko kholtii diimak kaa shukriya varna
ta.Dap rahii thii lifaafo.n me.n be-zabaanii pa.Dii
Azhar Faragh
Sher
das baje raat ko so jaate hai.n KHabre.n sun kar
aa.nkh khultii hai to aKHbaar talab karte hai.n
Shahzad Ahmad
Sher
pahle pahle havas ik-aadh dukaa.n kholtii hai
phir to baazaar ke baazaar se lag jaate hai.n
Ahmad Faraz
Sher
Adeel Zaidi
Sher
dil kii dha.Dkan bhii ba.Dii chiiz hai tanhaa.ii me.n
terii kho.ii hu.ii aavaaz sunaa karte hai.n
Shabnam Naqvi
Sher
Rahi Masoom Raza
Sher
tire badan kii KHalaa.o.n me.n aa.nkh khultii hai
havaa ke jism se jab jab lipaT ke sotaa huu.n
Ameer Imam
Sher
sunaataa hai kyaa hairat-a.ngez qisse
hasiino.n me.n kho.ii ho jis ne javaanii
Hafeez Jalandhari
Sher
gaamzan hai.n ham musalsal ajnabii manzil kii samt
zindagii kii aarzuu me.n zindagii khote hu.e