SEARCH RESULTS
Showing search results for "کھڑا"
Sher MATCHES FOR "کھڑا"
Sher
mai.n to Gazal sunaa ke akelaa kha.Daa rahaa
sab apne apne chaahne vaalo.n me.n kho ga.e
Krishn Bihari Noor
Sher
kha.Daa huu.n aaj bhii roTii ke chaar harf liye
savaal ye hai kitaabo.n ne kyaa diyaa mujh ko
Nazeer Baaqri
Sher
Nasir Kazmi
Sher
sirf ha.ngaama kha.Daa karnaa miraa maqsad nahii.n
merii koshish hai ki ye suurat badalnii chaahiye
Dushyant Kumar
Sher
phir baiThe baiThe vaada-e-vasl us ne kar liyaa
phir uTh kha.Daa hu.aa vahii rog intizaar kaa
Ameer Minai
Sher
nazro.n se naaptaa hai samundar kii vus.ate.n
saahil pe ik shaKHs akelaa kha.Daa hu.aa
Mohammad Alvi
Sher
Gazab to ye hai muqaabil kha.Daa hai vo mere
ki jis se meraa ta'alluq hai KHuu.n ke rishte kaa
Tab Aslam
Sher
kab dhuup chalii shaam Dhalii kis ko KHabar hai
ik umr se mai.n apne hii saa.e me.n kha.Daa huu.n
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
ko.ii halchal hai na aahaT na sadaa hai ko.ii
dil kii dahliiz pe chup-chaap kha.Daa hai ko.ii
Khurshid Ahmad Jami
Sher
mai.n chup kha.Daa thaa ta'alluq me.n iKHtisaar jo thaa
usii ne baat banaa.ii vo hoshiyaar jo thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
Muneer Niyazi
Sher
insaan kii bulandii o pastii ko dekh kar
insaa.n kahaa.n kha.Daa hai hame.n sochnaa pa.Daa
Habeeb Hyderabadi
Sher
sardii hai ki is jism se phir bhii nahii.n jaatii
suuraj hai ki muddat se mire sar par kha.Daa hai
Fakhr Zaman
Sher
zabaa.n rakhtaa huu.n lekin chup kha.Daa huu.n
mai.n aavaazo.n ke ban me.n ghir gayaa huu.n