SEARCH RESULTS
Showing search results for "کہانیاں"
Sher MATCHES FOR "کہانیاں"
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
ik baar us ne mujh ko dekhaa thaa muskuraa kar
itnii to hai haqiiqat baaqii kahaaniyaa.n hai.n
Mela Ram Wafa
Sher
likhne ko likh rahe hai.n Gazab kii kahaaniyaa.n
likkhii na jaa sakii magar apnii hii daastaa.n
Ibn-e-Safi
Sher
Bashir Badr
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
vo log aaj KHud ik daastaa.n kaa hissa hai.n
jinhe.n aziiz the qisse kahaaniyaa.n aur phuul
Sabir Zafar
Sher
Josh Malihabadi
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
vafaa kii pyaar kii Gam kii kahaaniyaa.n likh kar
sahar ke haath me.n dil kii kitaab detaa huu.n
Khurshid Ahmad Jami
Sher
fazaa me.n guu.nj rahii hai.n kahaaniyaa.n Gam kii
hamii.n ko hausla-e-sharh-e-daastaa.n na rahaa
Matin Niazi
Sher
kyaa ho.egaa sunoge agar kaan dhar ke tum
guzrii birah kii raat jo mujh par kahaaniyaa.n
Siraj Aurangabadi
Sher
ban jaa.e.n merii tarz-e-fanaa kii kahaaniyaa.n
aisaa miTaa ki saahib-e-naam-o-nishaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Sher
ye mohabbat kii kahaanii nahii.n martii lekin
log kirdaar nibhaate hu.e mar jaate hai.n
Abbas Tabish
Sher
tuu kahaanii hii ke parde me.n bhalii lagtii hai
zindagii terii haqiiqat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
kahaanii likhte hu.e daastaa.n sunaate hu.e
vo so gayaa hai mujhe KHvaab se jagaate hu.e