SEARCH RESULTS
Showing search results for "گزرو"
Sher MATCHES FOR "گزرو"
Sher
agar ye zid hai ki mujh se du.aa salaam na ho
to aisii raah se guzro jo raah-e-aam na ho
Jamill Murassapuri
Sher
Ahmad Faraz
Sher
aabaadiyo.n me.n dasht kaa manzar bhii aa.egaa
guzroge shahr se to miraa ghar bhii aa.egaa
Naushad Ali
Sher
Pandit Vidya Ratan Aasi
Sher
aa.iina-KHaane se daaman ko bachaa kar guzro
aa.iina TuuTaa to rezo.n me.n bikhar jaa.oge
Gulam jilani Asghar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
na jaane kis liye ummiid-vaar baiThaa huu.n
ik aisii raah pe jo terii rahguzar bhii nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
yuu.n to har shaam umiido.n me.n guzar jaatii hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronaa aayaa
Shakeel Badayuni
Sher
ham se pahle bhii musaafir ka.ii guzre ho.nge
kam se kam raah ke patthar to haTaate jaate
Rahat Indori
Sher
qais jangal me.n akelaa hai mujhe jaane do
KHuub guzregii jo mil baiThe.nge diivaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Sher
be-naam saa ye dard Thahar kyuu.n nahii.n jaataa
jo biit gayaa hai vo guzar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Sher
sunte hai.n ishq naam ke guzre hai.n ik buzurg
ham log bhii faqiir usii silsile ke hai.n