SEARCH RESULTS
Showing search results for "گزری"
Sher MATCHES FOR "گزری"
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bahut dino.n me.n mohabbat ko ye hu.aa ma.aluum
jo tere hijr me.n guzrii vo raat raat hu.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
yaad aa.ii hai to phir TuuT ke yaad aa.ii hai
ko.ii guzrii hu.ii manzil ko.ii bhuulii hu.ii dost
Ahmad Faraz
Sher
mirii zindagii to guzrii tire hijr ke sahaare
mirii maut ko bhii pyaare ko.ii chaahiye bahaana
Jigar Moradabadi
Sher
na gul khile hai.n na un se mile na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ab to har haath kaa patthar hame.n pahchaantaa hai
umr guzrii hai tire shahr me.n aate jaate
Rahat Indori
Sher
aaj kii raat bhii guzrii hai mirii kal kii tarah
haath aa.e na sitaare tire aa.nchal kii tarah
Ameer Qazalbash
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
Ram Narayan Mauzun
Sher
be-niyaazii had se guzrii banda-parvar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
kisii manzil me.n bhii haasil na hu.aa dil ko qaraar
zindagii KHvaahish-e-naakaam hii karte guzrii
Qaisar Shameem
Sher
tamaam umr isii ehtiyaat me.n guzrii
ki aashiyaa.n kisii shaaKH-e-chaman pe baar na ho
Meer Anees
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
tum aa.e ho na shab-e-intizaar guzrii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzrii hai