SEARCH RESULTS
Showing search results for "گلچیں"
Sher MATCHES FOR "گلچیں"
Sher
chaman pe Gaarat-e-gul-chii.n se jaane kyaa guzrii
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
gul to gul KHaar tak chun liye hai.n
phir bhii KHaalii hai gulchii.n kaa daaman
Fana Nizami Kanpuri
Sher
behtar thaa TuuTtaa kisii gulchii.n ke haath se
vo phuul huu.n ki shaaKH pe murjhaa rahaa huu.n mai.n
Unknown
Sher
Anwar Mirzapuri
Sher
gul-o-gulchii.n kaa gila bulbul-e-KHush-lahja na kar
tuu giraftaar hu.ii apnii sadaa ke baa.is
Altaf Hussain Hali
Sher
kiyaa thaa zulm to gulchii.n ne tum pe ahl-e-chaman
ye tum ne aag gulistaa.n ko kyuu.n lagaa dii hai
Athar Ziai
Sher
gulshan me.n kaun bulbul-e-naalaa.n ko de panaah
gulchii.n o baaGbaa.n bhii hai.n sayyaad kii taraf
Imdad Imam Asar
Sher
Nisar Itavi
Sher
dar-o-diivaar-e-chaman aaj hai.n KHuu.n se labrez
dast-e-gul-chii.n se mabaadaa ko.ii dil TuuTaa hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Anees Ahmad Anees
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
is ek baat se gulchii.n kaa dil dha.Daktaa hai
ki ham sabaa se hadiis-e-bahaar kahte hai.n
Asghar Saleem
Sher
ye ziist ki hai phuul sii miT jaa.e balaa se
gulchii.n se magar bar-sar-e-paikaar hii rahiye
Owais Ahmad Dauran
Sher
gulchii.n bahaar-e-gul me.n na kar man-e-sair-e-baaG
kyaa ham Gubaar daaman-e-baad-e-sabaa ke hai.n