SEARCH RESULTS
Showing search results for "ہوشیار"
Sher MATCHES FOR "ہوشیار"
Sher
kaun kahtaa hai mohabbat kii zabaa.n hotii hai
ye haqiiqat to nigaaho.n se bayaa.n hotii hai
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
mai.n chup kha.Daa thaa ta'alluq me.n iKHtisaar jo thaa
usii ne baat banaa.ii vo hoshiyaar jo thaa
Rajinder Manchanda Bani
Sher
haa.n aasmaan apnii bulandii se hoshiyaar
ab sar uThaa rahe hai.n kisii aastaa.n se ham
Josh Malihabadi
Sher
asar na puuchhiye saaqii kii mast aa.nkho.n kaa
ye dekhiye ki ko.ii hoshyaar baaqii hai
Betab Azimabadi
Sher
Gash khaa ke 'daaG' yaar ke qadmo.n pe gir pa.Daa
behosh ne bhii kaam kiyaa hoshiyaar kaa
Dagh Dehlvi
Sher
aaKHir ta.Dap ta.Dap ke ye KHaamosh ho gayaa
dil ko sukuun mil hii gayaa iztiraab me.n
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
hu.ii thii KHvaab me.n KHushbuu sii mahsuus
tum aa.e KHvaab kii ta.abiir dekhii
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
dil vo sahraa hai ki jis me.n raat din
phuul khilte hai.n bahaar aatii nahii.n
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
vo aur ho.nge pii ke jo sarshaar ho ga.e
har jaam se hame.n to na.ii tishnagii milii
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
mirii KHabar to kisii ko nahii.n magar 'aKHtar'
zamaana apne liye hoshiyaar kaisaa hai