SEARCH RESULTS
Showing search results for "ہونٹ"
Sher MATCHES FOR "ہونٹ"
Sher
Bashir Badr
Sher
Adeem Hashmi
Sher
Anwar Shuoor
Sher
tujh saa ko.ii jahaan me.n naazuk-badan kahaa.n
ye pa.nkhu.Dii se ho.nT ye gul saa badan kahaa.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
boltaa huu.n to mire ho.nT jhulas jaate hai.n
us ko ye baat bataane me.n ba.Dii der lagii
Abbas Tabish
Sher
ruu-ba-ruu kar ke kabhii apne mahakte surKH ho.nT
ek do pal ke liye gul-daan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
ho.nTo.n par ik baar sajaa kar apne ho.nT
us ke baad na baate.n karnaa so jaanaa
Ateeq Allahabadi
Sher
ab ke ham ne bhii diyaa tark-e-ta.alluq kaa javaab
ho.nT KHaamosh rahe aa.nkh ne baarish nahii.n kii
Ambareen Haseeb ambar
Sher
ho.nT kii shiiriiniyaa.n college me.n jab baTne lagii.n
chaar din ke chhokre karne lage farhaadiyaa.n
Hashim Azimabadi
Sher
raah me.n miliye kabhii mujh se to az-raah-e-sitam
ho.nT apnaa kaaT kar fauran judaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
kisii ko KHvaab me.n aksar pukaarte hai.n ham
'ataa' isii liye sote me.n ho.nT hilte hai.n