SEARCH RESULTS
Showing search results for "یورش_برق_و_شرر"
Sher MATCHES FOR "یورش_برق_و_شرر"
Sher
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar kii manzil hai
ye aazmaa.ish-e-qalb-o-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
gulo.n kaa zikr bahaaro.n me.n kar chuke 'aKHtar'
ab aa.o hosh me.n barq-o-sharar kii baat karo
Akhtar Ansari Akbarabadi
Sher
dhokaa thaa jis pe mauj-e-nasiim-e-bahaar kaa
ik sail-e-be-panaah thaa barq-o-sharaar kaa
Mustafa Rahi
Sher
aate hai.n barg-o-baar daraKHto.n ke jism par
tum bhii uThaa.o haath ki mausam du.aa kaa hai
Asad Badayuni
Sher
aziizaan-e-vatan ko Guncha o barg o samar jaanaa
KHudaa ko baaGbaa.n aur qaum ko ham ne shajar jaanaa
Chakbast Braj Narayan
Sher
mire lahuu se jis ke barg-o-baar me.n bahaar hai
vahii shajar mire liye saliib kaise ho gayaa
Khawar Ahmad
Sher
Aftab Hussain
Sher
ye zor-e-barq-o-baad ye tuufaan al-amaa.n
mahruum ho na jaa.e.n kahii.n aashiyaa.n se ham
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
diivaar o dar jhulaste rahe tez dhuup me.n
baadal tamaam shahr se baahar baras gayaa
Iftikhar Naseem
Sher
kyuu.n sher-o-shaa.erii ko buraa jaanuu.n 'mus.hafii'
jis shaa.erii ne aarif-e-kaamil kiyaa mujhe
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
go aap ne javaab buraa hii diyaa vale
mujh se bayaa.n na kiije aduu ke payaam ko
Momin Khan Momin
Sher
le aa.egaa ik roz gul o barg bhii 'sarvat'
baaraa.n kaa musalsal KHas-o-KHaashaak pe honaa
Sarvat Husain
Sher
pichhlaa baras to KHuun rulaa kar guzar gayaa
kyaa gul khilaa.egaa ye nayaa saal dosto
Farooq Engineer
Sher
siyaahii phertii jaatii hai.n raate.n bahr o bar pe
inhii taariikiyo.n se mujh ko bhii hissa milegaa