SEARCH RESULTS
Showing search results for "अकबर"
Sher MATCHES FOR "अकबर"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hayaa se sar jhukaa lenaa adaa se muskuraa denaa
hasiino.n ko bhii kitnaa sahl hai bijlii giraa denaa
Akbar Allahabadi
Sher
jo kahaa mai.n ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
ha.ns ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
Akbar Allahabadi
Sher
rahtaa hai ibaadat me.n hame.n maut kaa khaTkaa
ham yaad-e-KHudaa karte hai.n, kar le na KHudaa yaad
Akbar Allahabadi
Sher
akbar dabe nahii.n kisii sultaa.n kii fauj se
lekin shahiid ho ga.e biivii kii nauj se
Akbar Allahabadi
Sher
log kahte hai.n badaltaa hai zamaana sab ko
mard vo hai.n jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ishq ke iz.haar me.n har-chand rusvaa.ii to hai
par karuu.n kyaa ab tabii.at aap par aa.ii to hai
Akbar Allahabadi
Sher
bas jaan gayaa mai.n tirii pahchaan yahii hai
tuu dil me.n to aataa hai samajh me.n nahii.n aataa
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
lipaT bhii jaa na ruk 'akbar' Gazab kii beauty hai
nahii.n nahii.n pe na jaa ye hayaa kii duty hai
Akbar Allahabadi
Sher
khii.ncho na kamaano.n ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to aKHbaar nikaalo