SEARCH RESULTS
Showing search results for "अजमी"
Sher MATCHES FOR "अजमी"
Sher
mai.n zaKHm khaa ke giraa thaa ki thaam us ne liyaa
mu.aaf kar ke mujhe intiqaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
aavaaz de rahaa thaa ko.ii mujh ko KHvaab me.n
lekin KHabar nahii.n ki bulaayaa kahaa.n gayaa
Faisal Ajmi
Sher
ye alag baat ki vo dil se kisii aur kaa thaa
baat to us ne hamaarii bhii ba-zaahir rakkhii
Zafar Ajmi
Sher
ab vo titlii hai na vo umr ta.aaqub vaalii
mai.n na kahtaa thaa bahut duur na jaanaa mire dost
Faisal Ajmi
Sher
kabhii dekhaa hii nahii.n us ne pareshaa.n mujh ko
mai.n ki rahtaa huu.n sadaa apnii nigahbaanii me.n
Faisal Ajmi
Sher
harf apne hii ma.aanii kii tarah hotaa hai
pyaas kaa zaa.iqa paanii kii tarah hotaa hai
Faisal Ajmi
Sher
mai.n so gayaa to ko.ii nii.nd se uThaa mujh me.n
phir apne haath me.n sab intizaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
kabhii bhulaayaa kabhii yaad kar liyaa us ko
ye kaam hai to bahut mujh se kaam us ne liyaa
Faisal Ajmi
Sher
bajaa hai zindagii se ham bahut rahe naaraaz
magar bataa.o KHafaa tum se bhii kabhuu hu.e hai.n
Zafar Ajmi
Sher
Faisal Ajmi
Sher
adaavato.n me.n jo KHalq-e-KHudaa lagii hu.ii hai
mohabbato.n ko ko.ii bad-du.aa lagii hu.ii hai
Faisal Ajmi
Sher
kyaa ilm ki rote ho.n to mar jaate ho.n 'faisal'
vo log jo aa.nkho.n ko kabhii nam nahii.n karte
Faisal Ajmi
Sher
jism thaktaa nahii.n chalne se ki vahshat kaa safar
KHvaab me.n naql-e-makaanii kii tarah hotaa hai
Faisal Ajmi
Sher
aaj phir aa.iina dekhaa hai ka.ii saal ke baad
kahii.n is baar bhii ujlat to nahii.n kii ga.ii hai