SEARCH RESULTS
Showing search results for "अज़ाब"
Sher MATCHES FOR "अज़ाब"
Sher
ba.De azaab me.n huu.n mujh ko jaan bhii hai aziiz
sitam ko dekh ke chup bhii rahaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
azaab hotii hai.n aksar shabaab kii gha.Diyaa.n
gulaab apnii hii KHushbuu se Darne lagte hai.n
Badr Wasti
Sher
jo dil ko hai KHabar kahii.n miltii nahii.n KHabar
har sub.h ik azaab hai aKHbaar dekhnaa
Obaidullah Aleem
Sher
mujh ko ma.aluum hai mahbuub-parastii kaa azaab
der se chaa.nd nikalnaa bhii Galat lagtaa hai
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
hamesha aag ke dariyaa me.n ishq kyuu.n utre
kabhii to husn ko Garq-e-azaab honaa thaa
Karamat Ali Karamat
Sher
vaa.iz ba.Daa mazaa ho agar yuu.n azaab ho
dozaKH me.n paa.nv haath me.n jaam-e-sharaab ho
Dagh Dehlvi
Sher
ye kis azaab me.n chho.Daa hai tuu ne is dil ko
sukuun yaad me.n terii na bhuulne me.n qaraar
Shohrat Bukhari
Sher
Rajesh Reddy
Sher
kuchal ke phe.nk do aa.nkho.n me.n KHvaab jitne hai.n
isii sabab se hai.n ham par azaab jitne hai.n
Jan Nisar Akhtar
Sher
ye kaun phir se unhii.n raasto.n me.n chho.D gayaa
abhii abhii to azaab-e-safar se niklaa thaa
Ahmad Faraz
Sher
har ek aa.nkh ko kuchh TuuTe KHvaab de ke gayaa
vo zindagii ko ye kaisaa azaab de ke gayaa
Hakeem Manzoor
Sher
maut se pahle jahaa.n me.n chand saa.nso.n kaa azaab
zindagii jo qarz teraa thaa adaa kar aa.e hai.n