SEARCH RESULTS
Showing search results for "अन-क़रीब"
Sher MATCHES FOR "अन-क़रीब"
Sher
qadmo.n me.n bhii takaan thii ghar bhii qariib thaa
par kyaa kare.n ki ab ke safar hii ajiib thaa
Parveen Shakir
Sher
Hasan Naim
Sher
ab bhii aatii hai tirii yaad pa is karb ke saath
TuuTtii nii.nd me.n jaise ko.ii sapnaa dekhaa
Akhtar Imam Rizvi
Sher
qariib dekh ke us ko ye baat kis se kahuu.n
KHayaal dil me.n jo aayaa gunaah jaisaa thaa
Majid-ul-Baqri
Sher
chaman se ruKHsat-e-‘faanii’ qariib hai shaayad
ki ab ke buu-e-kafan daaman-e-bahaar me.n hai
Fani Badayuni
Sher
mujh ko ma.aluum hu.aa ab ki zamaana tum ho
mil ga.ii raah-e-sukuu.n gardish-e-dauraa.n ke qariib
Natiq Gulavthi
Sher
Hadi Machlishahri
Sher
jab tak thaa apnaa hosh vo rahte the duur-duur
ab aa ga.e qariib to apnaa pataa nahii.n
Shahryar Pardaz
Sher
hamaare un ke ta'alluq kaa ab ye aalam hai
ki dostii kaa hai kyaa zikr dushmanii bhii nahii.n
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
jur.at-afzaa-e-savaal ai zahe andaaz-e-javaab
aatii jaatii hai ab is but kii nahii.n haa.n ke qariib
Natiq Gulavthi
Sher
Gam musalsal ho to ahbaab bichha.D jaate hai.n
ab na ko.ii dil-e-tanhaa ke qarii.n aa.egaa