SEARCH RESULTS
Showing search results for "अफ़्सुर्दगी"
Sher MATCHES FOR "अफ़्सुर्दगी"
Sher
afsurdagii bhii husn hai taabindagii bhii husn
ham ko KHizaa.n ne tum ko sa.nvaaraa bahaar ne
Ijtiba Rizvi
Sher
ba.De sukuun se afsurdagii me.n rahtaa huu.n
mai.n apne saamne vaalii galii me.n rahtaa huu.n
Abid Malik
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
tark-e-ulfat se mohabbat kaa likhaa miT na sakaa
vahii afsurdagii-e-shaam-o-sahar aaj bhii hai
Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
Sher
na puuchh us kii dil-afsurdagii kii kaifiyyat
jo Gam-nasiib KHushii me.n bhii muskuraa na sakaa
Anjum Manpuri
Sher
Siraj Ajmali
Sher
phuul kah dene se afsurda ko.ii hotaa hai
sab adaa.e.n tirii achchhii hai.n nazaakat ke sivaa
Jaleel Manikpuri
Sher
dil hii ayyaar hai be-vaj.h dha.Dak uThtaa hai
varna afsurda havaa.o.n me.n bulaavaa kaisaa
Saqi Faruqi
Sher
bedam ye mohabbat hai yaa ko.ii musiibat hai
jab dekhiye afsurda jab dekhiye jab maGmuum
Bedam Shah Warsi
Sher
afsurda-dil ke vaaste kyaa chaa.ndnii kaa lutf
lipTaa pa.Daa hai murda saa goyaa kafan ke saath
Qadr Bilgrami
Sher
kyaa jaaniye kyaa soch ke afsurda hu.aa dil
mai.n ne to ko.ii baat puraanii nahii.n likkhii
Ambareen Haseeb ambar
Sher
Josh Malihabadi
Sher
dosto mere liye ko.ii bhii afsurda na ho
KHush-dilii se dam-e-ruKHsat mujhe ruKHsat kiyaa jaa.e
Anjum Saleemi
Sher
Akhtar Muslimi
Sher
kuchh KHud bhii huu.n mai.n ishq me.n afsurda o Gamgii.n
kuchh talKHi-e-haalaat kaa ehsaas hu.aa hai
Naseem Shahjahanpuri
Sher
ho ke afsurda mirii shuumii-e-taqdiir na dekh
apne pairo.n me.n mire paa.nv kii zanjiir na dekh
Hazar Lakhnavi
Sher
bazm-e-husn-o-ishq me.n 'akbar' kii afsurda-dilii
daad ke laa.eq nahii.n be-daad ke qaabil nahii.n