SEARCH RESULTS
Showing search results for "अबदी"
Sher MATCHES FOR "अबदी"
Sher
hamaare baa'd ratjagaa tumhaaraa ham-safar bane
hamaare baa'd karvaTe.n badalte maut paa.o tum
Obaidullah Abdi
Sher
mai.n muqallid nahii.n huu.n rivaayaat kaa
merii raahe.n baGaavat se mashruut hai.n
Obaidullah Abdi
Sher
hamaare baa'd vaahime nasiib me.n tumhaare ho.n
hamaare baa'd rak'at-e-namaaz bhuul jaa.o tum
Obaidullah Abdi
Sher
azal se taa-ba-abad ek hii kahaanii hai
isii se ham ko na.ii daastaa.n banaanii hai
Kalidas Gupta Raza
Sher
Shibli Nomani
Sher
dast-e-junuu.n ne phaa.D ke phe.nkaa idhar-udhar
daaman abad me.n hai to garebaa.n azal me.n hai
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
nii.nd aa chalii hai anjum-e-shaam-e-abad ko bhii
aa.nkh ahl-e-intizaar kii ab tak lagii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
rok letaa hai abad vaqt ke us paar kii raah
duusrii samt se jaa.uu.n to azal pa.Dtaa hai
Irfan Sattar
Sher
taa-abad KHaalii rahe yaa-rab dilo.n me.n us kii jaa
jo ko.ii laave mire ghar us ke aane kii KHabar
Hasrat Azimabadi
Sher
is KHajaalat ne abad tak mujhe sone na diyaa
hijr me.n lag ga.ii thii ek gha.Dii merii aa.nkh