SEARCH RESULTS
Showing search results for "अर्श-ए-आज़म"
Sher MATCHES FOR "अर्श-ए-आज़म"
Sher
'arsh' pahle ye shikaayat thii KHafaa hotaa hai vo
ab ye shikva hai ki vo zaalim KHafaa hotaa nahii.n
Arsh Malsiyani
Sher
jo aaj cha.Dhaate hai.n hame.n arsh-e-barii.n par
do din ko utaare.nge vahii log zamii.n par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ism-e-aazam bhii mire saath safar kartaa hai
merii kashtii me.n jo baiThegaa amaa.n paa.egaa
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
saaqii mai.n dekhtaa huu.n zamii.n aasmaa.n kaa farq
arsh-e-barii.n me.n aur tire aastaane me.n
Yagana Changezi
Sher
mere Gubaar kii ye ta.allii to dekhiye
itnaa ba.Dhaa ki arsh-e-mu.allaa se mil gayaa
Muztar Khairabadi
Sher
rakhtaa hai qadam naaz se jis dam tuu zamii.n par
kahte hai.n farishte tujhe jai arsh-e-barii.n par
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mujh ko pahchaan tuu ai vaqt mai.n vo huu.n jo faqat
ek Galatii ke liye arsh-e-barii.n se niklaa
Azlan shah
Sher
jab arsh-e-mu.allaa pe mire naqsh-e-qadam hai.n
kyaa chiiz hai phir auj-e-surayyaa mire aage
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
har-chand ki aasii huu.n pa ummat me.n huu.n us kii
jis kaa hai qadam arsh-e-mua.allaa se bhii baalaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
sunaa hai arsh-e-ilaahii isii ko kahte hai.n
tavaaf-e-ka.aba-e-dil ham ne sub.h-o-shaam kiyaa
Peer Sher Mohammad Ajiz
Sher
baiThaa hu.aa huu.n lag ke dariiche se mahv-e-yaas
ye shaam aaj mere baraabar udaas hai
Akash Arsh
Sher
saaraa aalam hama-tan-gosh hu.aa jaataa hai
saaz-e-hastii hai ki KHaamosh hu.aa jaataa hai
Syed Azam Husain Azam
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
'aalam' dil-e-asiir ko samjhaa.uu.n kis tarah
kam-baKHt e'tibaar ke qaabil nahii.n hai vo