SEARCH RESULTS
Showing search results for "अहल-ए-दिल"
Sher MATCHES FOR "अहल-ए-दिल"
Sher
apnaa zamaana aap banaate hai.n ahl-e-dil
ham vo nahii.n ki jin ko zamaana banaa gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
nigaah chaahiye bas ahl-e-dil faqiiro.n kii
buraa bhii dekhuu.n to mujh ko bhalaa nazar aa.e
Anis Dehlavi
Sher
ahl-e-dil ke darmiyaa.n the 'miir' tum
ab suKHan hai sho.abada-kaaro.n ke biich
Obaidullah Aleem
Sher
ahl-e-dil ne kabhii maKHluut hukuumat na banaa.ii
aql vaalo.n ne bhii be-shart himaayat nahii.n dii
Farhat Ehsas
Sher
ahl-e-dil ne kiye ta.amiir haqiiqat ke sutuu.n
ahl-e-duniyaa ko rivaayaat pe ronaa aayaa
Zaki kakorvi
Sher
ahl-e-dil ke vaaste paiGaam ho kar rah ga.ii
zindagii majbuuriyo.n kaa naam ho kar rah ga.ii
Ganesh Bihari Tarz
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
'KHaatir' ab ahl-e-dil bhii bane hai.n zamaana-saaz
kis se kare.n vafaa kii talab apne shahr me.n
Khatir Ghaznavi
Sher
dil lagaa lete hai.n ahl-e-dil vatan ko.ii bhii ho
phuul ko khilne se matlab hai chaman ko.ii bhii ho
Basir Sultan Kazmi
Sher
ko.ii aisaa ahl-e-dil ho ki fasaana-e-mohabbat
mai.n use sunaa ke ro.uu.n vo mujhe sunaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Sher
sab kuchh luTaa ke raah-e-mohabbat me.n ahl-e-dil
KHush hai.n ki jaise daulat-e-kaunain paa ga.e
Jigar Moradabadi
Sher
Nazm Tabatabai
Sher
Ali Jawad Zaidi
Sher
Azhar Saeed
Sher
Erum Zehra
Sher
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
is shahr me.n to kuchh nahii.n rusvaa.ii ke sivaa
ai 'dil' ye ishq le ke kidhar aa gayaa tujhe
Dil Ayubi
Sher
aarzuu lutf talab ishq saraasar naakaam
mubtalaa zindagi-e-dil inhii.n auhaam me.n hai