SEARCH RESULTS
Showing search results for "आज़माऊँ"
Sher MATCHES FOR "आज़माऊँ"
Sher
kabhii yak-ba-yak tavajjoh kabhii daf.atan taGaaful
mujhe aazmaa rahaa hai ko.ii ruKH badal badal kar
Shakeel Badayuni
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
mai.n us ke va.ade kaa ab bhii yaqiin kartaa huu.n
hazaar baar jise aazmaa liyaa mai.n ne
Makhmoor Saeedi
Sher
tuu apnii marzii ke sabhii kirdaar aazmaa le
mire baGair ab tirii kahaanii nahii.n chalegii
Azhar Adeeb
Sher
Obaidullah Aleem
Sher
mirii daastaan-e-hasrat vo sunaa sunaa ke ro.e
mire aazmaane vaale mujhe aazmaa ke ro.e
Saifuddin Saif
Sher
kisii ke vaada-e-sabr-aazmaa kii KHair ki ham
ab e'tibaar kii had se guzarte jaate hai.n
Raaz Muradabadi
Sher
Nooh Narvi
Sher
jaante hai.n ham mohabbat-aazmaa.ii ho chukii
aa.o lag jaa.o gale bas ab la.Daa.ii ho chukii
Unknown
Sher
saath chal kar dekh mere aur mujh ko aazmaa
kyo.n yaqii.n kartaa hai logo.n se sunii har baat par