SEARCH RESULTS
Showing search results for "आब-ए-कौसर"
Sher MATCHES FOR "आब-ए-कौसर"
Sher
haal-e-dil us ko sunaa kar hai bahut KHush 'kausar'
lekin ab soch zaraa kyaa tirii auqaat rahii
Kausar Niyazi
Sher
Kausar Niyazi
Sher
hame.n jo fikr kii daavat na de sake 'kausar'
vo sher sher to hai ruuh-e-shaa.erii to nahii.n
Kausar Siwani
Sher
mar chukaa mai.n to nahii.n is se mujhe kuchh haasil
barse gir paanii kii jaa aab-e-baqaa mere ba.ad
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
rahtaa hai vahaa.n zikr-e-tuhuur-o-mai-e-kausar
ham aaj se kaabe ko bhii mai-KHaana kahe.nge
Fana Nizami Kanpuri
Sher
shaiKH-jii gir ga.e the hauz me.n maiKHaane ke
Duub kar chashma-e-kausar ke kinaare nikle
Riyaz Khairabadi
Sher
na vaa.iz hajv kar ek din duniyaa se jaanaa hai
are mu.nh saaqi-e-kausar ko bhii aaKHir dikhaanaa hai
Ameer Minai
Sher
ab to zaahid bhii ye kahtaa hai ba.Dii chuuk hu.ii
jaam me.n thii mai-e-kausar mujhe ma.aluum na thaa
Jaleel Manikpuri
Sher
sharaab saaqii-e-kausar se liijo 'aafriidii'
ye baada-noshii-e-duniyaa hai tujh ko na.ng-e-sharaab
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
mai-e-kausar kaa asar chashm-e-siyah-faam me.n hai
saaqii-e-mast ajab kaif tire jaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
bosa liyaa jo us lab-e-shiirii.n kaa mar ga.e
dii jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayaat par
Ameer Minai
Sher
kisii kii mahram-e-aab-e-ravaa.n kii yaad aa.ii
habaab ke jo baraabar kabhii habaab aayaa