SEARCH RESULTS
Showing search results for "इंकार"
Sher MATCHES FOR "इंकार"
Sher
saahil ke sukuu.n se kise inkaar hai lekin
tuufaan se la.Dne me.n mazaa aur hii kuchh hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
KHaamushii achchhii nahii.n inkaar honaa chaahiye
ye tamaashaa ab sar-e-baazaar honaa chaahiye
Zafar Iqbal
Sher
iqraar me.n kahaa.n hai inkaar kii sii KHuubii
hotaa hai shauq Gaalib us kii nahii.n nahii.n par
Meer Taqi Meer
Sher
bosa-e-ruKHsaar par takraar rahne diijiye
liijiye yaa diijiye inkaar rahne diijiye
Hafeez Jaunpuri
Sher
saaf inkaar agar ho to tasallii ho jaa.e
jhuuTe va.ado.n se tire ranj sivaa hotaa hai
Qaisar Haideri Dehlvi
Sher
ye adaa.e.n ye ishaare ye hasii.n qaul-o-qaraar
kitne aadaab ke parde me.n hai inkaar kii baat
Khalid Yusuf
Sher
chashm-e-inkaar me.n iqraar bhii ho saktaa thaa
chhe.Dne ko mujhe phir merii anaa puuchhtii hai
Asad Badayuni
Sher
Hasan Rizvi
Sher
jis kaa inkaar hathelii pe liye phirtaa huu.n
jaantaa hii nahii.n inkaar kaa matlab kyaa hai
Zafar Iqbal
Sher
tiraa vajuud gavaahii hai mere hone kii
mai.n apnii zaat se inkaar kis tarah kartaa
Farhat Shahzad
Sher
inkaar hii kar diijiye iqraar nahii.n to
uljhan hii me.n mar jaa.egaa biimaar nahii.n to
Iftikhar Raghib
Sher
aaj tak un kii KHudaa.ii se hai inkaar mujhe
mai.n to ik umr se kaafir huu.n sanam jaante hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
aise iqraar me.n inkaar ke sau pahluu hai.n
vo to kahiye ki labo.n pe na tabassum aa.e
Asad Bhopali
Sher
is liye vasl se inkaar hai ham jaan ga.e
ye na samjhe ko.ii kyaa jald kahaa maan ga.e
Dagh Dehlvi
Sher
Ahmad Shanas
Sher
inkaar kar rahaa huu.n to qiimat buland hai
bikne pe aa gayaa to giraa de.nge daam log