SEARCH RESULTS
Showing search results for "इख़्तियारात"
Sher MATCHES FOR "इख़्तियारात"
Sher
mujhe pasand nahii.n aise kaarobaar me.n huu.n
ye jabr hai ki mai.n KHud apne iKHtiyaar me.n huu.n
Adil Mansuri
Sher
ye aur baat ki aa.ndhii hamaare bas me.n nahii.n
magar charaaG jalaanaa to iKHtiyaar me.n hai
Azhar Inayati
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
KHvaabo.n par iKHtiyaar na yaado.n pe zor hai
kab zindagii guzaarii hai apne hisaab me.n
Fatima Hasan
Sher
ab apnaa iKHtiyaar hai chaahe jahaa.n chale.n
rahbar se apnii raah judaa kar chuke hai.n ham
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kah to saktaa huu.n magar majbuur kar saktaa nahii.n
iKHtiyaar apnii jagah hai bebasii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
gha.Dii gha.Dii na idhar dekhiye ki dil pe mujhe
hai iKHtiyaar par itnaa bhii iKHtiyaar nahii.n
Niyaz Fatehpuri
Sher
KHudaa ke haath me.n mat sau.np saare kaamo.n ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa iKHtiyaar bhii rakh
Nida Fazli
Sher
shahr talab kare agar tum se ilaaj-e-tiiragii
saahab-e-iKHtiyaar ho aag lagaa diyaa karo
Pirzada Qasim
Sher
tum bhii karoge jabr shab o roz is qadar
ham bhii kare.nge sabr magar iKHtiyaar tak