SEARCH RESULTS
Showing search results for "इज़्तिराब"
Sher MATCHES FOR "इज़्तिराब"
Sher
kyaa jaane kyaa likhaa thaa use iztiraab me.n
qaasid kii laash aa.ii hai KHat ke javaab me.n
Momin Khan Momin
Sher
mohabbat ek taraf se mazaa nahii.n detii
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
Jaleel Manikpuri
Sher
kyaa kyaa fareb dil ko diye iztiraab me.n
un kii taraf se aap likhe KHat javaab me.n
Dagh Dehlvi
Sher
dekhe baGair haal ye hai iztiraab kaa
kyaa jaane kyaa ho parda jo uTThe naqaab kaa
Safi Lakhnavi
Sher
me.n iztiraab ke aalam me.n raqs kartaa rahaa
kabhii Gubaar kii suurat kabhii dhu.aa.n ban kar
Afzal Allahabadi
Sher
aaKHir ta.Dap ta.Dap ke ye KHaamosh ho gayaa
dil ko sukuun mil hii gayaa iztiraab me.n
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
mai.n ta.ng huu.n sukuun se ab iztiraab de
be-intihaa sukuun bhii aazaar hii to hai
Wamiq Jaunpuri
Sher
yaa.n lab pe laakh laakh suKHan iztiraab me.n
vaa.n ek KHaamushii tirii sab ke javaab me.n
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
bahut aziiz na kyuu.n ho ki dard hai teraa
ye dard ba.Dh ke rahaa iztiraab ho ke rahaa
Arshi Bhopali
Sher
judaa.iyo.n kii KHalish us ne bhii na zaahir kii
chhupaa.e apne Gam o iztiraab mai.n ne bhii
Aitbar Sajid
Sher
ibtidaa-e-ishq hai lutf-e-shabaab aane ko hai
sabr ruKHsat ho rahaa hai iztiraab aane ko hai
Fani Badayuni
Sher
Dhuu.nDhtii hai iztiraab-e-shauq kii duniyaa mujhe
aap ne mahfil se uThvaa kar kahaa.n rakkhaa mujhe
Natiq Gulavthi
Sher
sukuun vasl me.n itnaa nasiib ho ki na ho
jis iztiraab se mai.n intizaar kartaa huu.n
Karamat Ali Karamat
Sher
paiham sujuud paa-e-sanam par dam-e-vidaa
'momin' KHudaa ko bhuul ga.e iztiraab me.n
Momin Khan Momin
Sher
kyaa iztiraab-e-shauq ne mujh ko KHajil kiyaa
vo puuchhte hai.n kahiye iraade kahaa.n ke hai.n