SEARCH RESULTS
Showing search results for "इब्तिला"
Sher MATCHES FOR "इब्तिला"
Sher
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahruumii
phir us ke baad ko.ii ibtilaa nahii.n aa.ii
Ada Jafarey
Sher
Gulzar Bukhari
Sher
insaa.n kii KHvaahisho.n kii ko.ii intihaa nahii.n
do gaz zamii.n bhii chaahiye do gaz kafan ke baad
Kaifi Azmi
Sher
baatil se dabne vaale ai aasmaa.n nahii.n ham
sau baar kar chukaa hai tuu imtihaa.n hamaaraa
Allama Iqbal
Sher
kursii hai tumhaaraa ye janaaza to nahii.n hai
kuchh kar nahii.n sakte to utar kyo.n nahii.n jaate
Irtiza Nishat
Sher
dil saraapaa dard thaa vo ibtidaa-e-ishq thii
intihaa ye hai ki 'faanii' dard ab dil ho gayaa
Fani Badayuni
Sher
ibtidaa vo thii ki jiinaa thaa mohabbat me.n muhaal
intihaa ye hai ki ab marnaa bhii mushkil ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
vahaa.n se hai mirii himmat kii ibtidaa vallaah
jo intihaa hai tire sabr aazmaane kii
Josh Malihabadi
Sher
ek jaise lag rahe hai.n ab sabhii chehre mujhe
hosh kii ye intihaa hai yaa bahut nashshe me.n huu.n
Bharat Bhushan Pant
Sher
na ibtidaa kii KHabar hai na intihaa ma.aluum
rahaa ye vahm ki ham hai.n so vo bhii kyaa ma.aluum
Fani Badayuni
Sher
ibtidaa ye thii ki mai.n thaa aur da.avaa ilm kaa
intihaa ye hai ki is da.ave pe sharmaayaa bahut
Jagan Nath Azad
Sher
suurat to ibtidaa se tirii laa-javaab thii
naaz-o-adaa ne aur tarah-daar kar diyaa