SEARCH RESULTS
Showing search results for "इसरार"
Sher MATCHES FOR "इसरार"
Sher
hame.n israar milne par tumhe.n inkaar milne se
na tum maano na ham maane.n na ye kam ho na vo kam ho
Nooh Narvi
Sher
ek do baar to rokuu.ngaa muravvat me.n tujhe
saika.Do.n baar to israar nahii.n kar saktaa
Syed Zamin Abbas Kazmi
Sher
TimTimaate rahe.n bujhtii hu.ii yaado.n ke charaaG
dil kii viiraanii pe gar aap ko israar na ho
Jameel Naqvi
Sher
iqraar hai ki dil se tumhe.n chaahte hai.n ham
kuchh is gunaah kii bhii sazaa hai tumhaare paas
Hasrat Mohani
Sher
iqraar me.n kahaa.n hai inkaar kii sii KHuubii
hotaa hai shauq Gaalib us kii nahii.n nahii.n par
Meer Taqi Meer
Sher
aa.nkh rakhte ho to us aa.nkh kii tahriir pa.Dho
mu.nh se iqraar na karnaa to hai aadat us kii
Shahzad Ahmad
Sher
chashm-e-inkaar me.n iqraar bhii ho saktaa thaa
chhe.Dne ko mujhe phir merii anaa puuchhtii hai
Asad Badayuni
Sher
Hasan Rizvi
Sher
vo KHudaa hai to mirii ruuh me.n iqraar kare
kyuu.n pareshaan kare duur kaa basne vaalaa
Saqi Faruqi
Sher
inkaar hii kar diijiye iqraar nahii.n to
uljhan hii me.n mar jaa.egaa biimaar nahii.n to
Iftikhar Raghib
Sher
aise iqraar me.n inkaar ke sau pahluu hai.n
vo to kahiye ki labo.n pe na tabassum aa.e
Asad Bhopali
Sher
ye aur baat ki iqraar kar sake.n na kabhii
mirii vafaa kaa magar un ko e'tibaar to hai
Aleem Akhtar muzaffarnagri
Sher
Meena Kumari Naz
Sher
kis baat par tirii mai.n karuu.n e'tibaar haa.e
iqraar yak taraf hai to inkaar yak taraf
Qayem Chaandpuri
Sher
iqraar-e-mohabbat to ba.Dii baat hai lekin
inkaar-e-mohabbat kii adaa aur hii kuchh hai
Akhtar Muslimi
Sher
saaqii mirii KHamosh-mizaajii kii laaj rakh
iqraar gar nahii.n hai to inkaar bhii nahii.n
Arsh Malsiyani
Sher
jaane kab kaise giraftaar-e-mohabbat hu.e ham
jaane kab Dhal ga.e iqraar me.n inkaar ke ra.ng
Aleena Itrat
Sher
terii dahliiz pe iqraar kii ummiid liye
phir kha.De hai.n tire inkaar ke maare hu.e log
Mirza Athar Zia
Sher
un mast nigaaho.n ne KHud apnaa bharam kholaa
inkaar ke parde me.n iqraar nazar aa.e