SEARCH RESULTS
Showing search results for "उखड़ा"
Sher MATCHES FOR "उखड़ा"
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
aasmaano.n me.n u.Daa karte hai.n phuule phuule
halke logo.n ke ba.De kaam havaa kartii hai
Mohammad Aazam
Sher
aakaash kii hasiin fazaa.o.n me.n kho gayaa
mai.n is qadar u.Daa ki KHalaa.o.n me.n kho gayaa
Kamil Bahzadi
Sher
bichha.D ke tujh se na dekhaa gayaa kisii kaa milaap
u.Daa diye hai.n parinde shajar pe baiThe hu.e
Adeem Hashmi
Sher
ye sair hai ki dupaTTa u.Daa rahii hai havaa
chhupaate hai.n jo vo siina kamar nahii.n chhuptii
Dagh Dehlvi
Sher
palko.n ke sitaare bhii u.Daa le ga.ii 'anvar'
vo dard kii aa.ndhii kii sar-e-shaam chalii thii
Anwar Masood
Sher
ye havaa kaise u.Daa le ga.ii aa.nchal meraa
yuu.n sataane kii to aadat mire ghanshyaam kii thii
Parveen Shakir
Sher
havaa ho aisii ki hindostaa.n se ai 'iqbaal'
u.Daa ke mujh ko Gubaar-e-rah-e-hijaaz kare
Allama Iqbal
Sher
bujhe labo.n pe hai boso.n kii raakh bikhrii hu.ii
mai.n is bahaar me.n ye raakh bhii u.Daa duu.ngaa
Saqi Faruqi
Sher
ghar apnaa kisii aur kii nazro.n se na dekho
har tarah se uj.Daa hai magar phir bhii sajaa hai
Jamill Murassapuri
Sher
Anwar Jalalpuri
Sher
patthar ke jism mom ke chehre dhu.aa.n dhu.aa.n
kis shahr me.n u.Daa ke havaa le ga.ii mujhe
Iffat Zarrin
Sher
ye havaa saare charaaGo.n ko u.Daa le jaa.egii
raat Dhalne tak yahaa.n sab kuchh dhu.aa.n ho jaa.egaa
Naseer Turabi
Sher
tuu ko.ii suukhaa hu.aa patta nahii.n hai ki jise
jis taraf mauj-e-havaa chaahe u.Daa kar le jaa.e