SEARCH RESULTS
Showing search results for "उम्मीदें"
Sher MATCHES FOR "उम्मीदें"
Sher
yahii hai zindagii kuchh KHvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Gulzar
Sher
maashuuqo.n se ummiid-e-vafaa rakhte ho 'naasiKH'
naadaa.n ko.ii duniyaa me.n nahii.n tum se ziyaada
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
iz.haar-e-Gam kiyaa thaa ba-ummiid-e-iltifaat
kyaa puuchhte ho kitnii nadaamat hai aaj tak
Habeeb Ahmad Siddiqui
Sher
sub.h tak kaun jiyegaa shab-e-tanhaa.ii me.n
dil-e-naadaa.n tujhe ummiid-e-sahar hai bhii to kyaa
Muztar Khairabadi
Sher
ahbaab se rakhtaa huu.n kuchh ummiid-e-KHuraafaat
rahte hai.n KHafaa mujh se bahut log isii se
Firaq Gorakhpuri
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
is dard kaa ilaaj ajal ke sivaa bhii hai
kyuu.n chaarasaaz tujh ko ummiid-e-shifaa bhii hai
Fani Badayuni
Sher
Altaf Hussain Hali
Sher
sab ummiide.n mire aashob-e-tamannaa tak thii.n
bastiyaa.n ho ga.ii.n Garqaab to dariyaa utraa
Hasan Abidi
Sher
mai.n kisii haal me.n maayuus nahii.n ho saktaa
zulmate.n laakh ho.n ummiid-e-sahar rakhtaa huu.n
Naeem Ghazi
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
un se ummiid-e-mulaaqaat ke baa'd ai 'maKHmuur'
muddato.n tak na KHud apne se mulaaqaat hu.ii
Makhmoor Saeedi
Sher
log kyaa saada hai.n ummiid-e-vafaa rakhte hai.n
jaise ma.aluum nahii.n un ko haqiiqat terii