SEARCH RESULTS
Showing search results for "उश्शाक़"
Sher MATCHES FOR "उश्शाक़"
Sher
dekhiye paate hai.n ushshaaq buto.n se kyaa faiz
ik barahman ne kahaa hai ki ye saal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
majlis me.n mire zikr ke aate hii uThe vo
badnaami-e-ushshaaq kaa e.azaaz to dekho
Momin Khan Momin
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
tujh ko shikva hai ki ushshaaq ne badnaam kiyaa
sach to ye hai ki tiraa husn hai dushman teraa
Jaleel Manikpuri
Sher
jo KHaas jalve the ushshaaq kii nazar ke liye
vo aam kar diye tum ne jahaan bhar ke liye
Hasan Barelvi
Sher
paar dariyaa-e-shahaadat se utar jaate hai.n sar
kashtii-e-ushshaaq kii mallaah ban jaatii hai teG
Bayan Meeruthi
Sher
dekhnaa kam-nigahii kiijiyo mat ai saaqii
ba-juz-ushshaaq hai mai sab ko baraabar pahu.nche
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo bazm me.n hai.n rote hai.n ushshaaq chau taraf
paanii hai gird-e-anjuman aur anjuman me.n aag
Ahmad Husain Mail
Sher
ushshaaq ke aage na la.Daa Gairo.n se aa.nkhe.n
Dar hai ki na ho jaa.e la.Daa.ii tire dar par
Sharaf Mujaddidi
Sher
ushshaaq jaa.n-ba-kaf kha.De hai.n tere aas-paas
ai dil-rubaa-e-Gaarat-e-jaa.n apne fan me.n aa
Faez Dehlvi
Sher
aa shitaabii sii.n vagarna majlis-e-ushshaaq me.n
zulm hai Gam hai qayaamat hai KHaraabii ai sanam
Siraj Aurangabadi
Sher
dil-e-ushshaaq parindo.n kii tarah u.Dte hai.n
is bayaabaan me.n kyaa ek bhii sayyaad nahii.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ushshaaq jo tasavvur-e-barzaKH ke ho ga.e
aatii hai dam-ba-dam ye unhii.n ko sadaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
to maa.il-e-ushshaaq-kushii hai to yahaa.n bhii
jiine kii tama.a ai but-e-maGruur kise hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ushshaaq kaa kuchh mai.n ne aalam hii nayaa dekhaa
ik aan me.n jii uTThe.n ik aan me.n mar jaave.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
saj diyaa hairat-e-ushshaaq ne is but kaa makaa.n
qadd-e-aadam hai.n lage aa.ine diivaaro.n me.n