SEARCH RESULTS
Showing search results for "ऐबक"
Sher MATCHES FOR "ऐबक"
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahii hunar hai ki ko.ii hunar nahii.n aataa
Mirza Raza Barq
Sher
sab kii tarah tuu ne bhii mire aib nikaale
tuu ne bhii KHudaayaa mirii niyyat nahii.n dekhii
Shahzad Ahmad
Sher
mai.n us ke aib us ko bataataa bhii kis tarah
vo shaKHs aaj tak mujhe tanhaa nahii.n milaa
Ejaz Warsi
Sher
ham ko aapas me.n mohabbat nahii.n karne dete
ik yahii aib hai is shahr ke daanaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
farishta hai to taqaddus tujhe mubaarak ho
ham aadmii hai.n to aib-o-hunar bhii rakhte hai.n
Dil Ayubi
Sher
mujh me.n hai yahii aib ki auro.n kii tarah mai.n
chehre pe kabhii duusraa chehraa nahii.n rakhtaa
Faragh Rohvi
Sher
kisii ke aib chhupaanaa savaab hai lekin
kabhii kabhii ko.ii parda uThaanaa pa.Dtaa hai
Azhar Inayati
Sher
aap hii kii hai adaalat aap hii munsif bhii hai.n
ye to kahiye aap ke aib-o-hunar dekhegaa kaun
Manzar Bhopali
Sher
ik din vo mere aib ginaane lagaa 'faraaG'
jab KHud hii thak gayaa to mujhe sochnaa pa.Daa
Faragh Rohvi
Sher
sach hai is ek parde me.n chhupte hai.n laakh aib
ya.anii janaab-e-shaiKH kii daa.Dhii daraaz hai
Hafeez Jaunpuri
Sher
hamaare aib me.n jis se madad mile ham ko
hame.n hai aaj kal aise kisii hunar kii talaash
Natiq Gulavthi
Sher
Hakeem Manzoor
Sher
aajizii aaj hai mumkin hai na ho kal mujh me.n
is tarah aib nikaalo na musalsal mujh me.n