SEARCH RESULTS
Showing search results for "कलीसा"
Sher MATCHES FOR "कलीसा"
Sher
iimaa.n mujhe roke hai jo khii.nche hai mujhe kufr
ka.aba mire piichhe hai kaliisaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
ka.aba banaa.iye ki kaliisaa banaa.iye
dil saa makaa.n havaale kiyaa hai janaab ke
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
kaafir-e-ishq huu.n mai.n sab se mohabbat hai mujhe
ek but kyaa ki samaayaa hai kaliisaa dil me.n
Imdad Ali Bahr
Sher
vaah kyaa raah dikhaa.ii hai hame.n murshid ne
kar diyaa ka.abe ko gum aur kaliisaa na milaa
Akbar Allahabadi
Sher
nazar ke saamne ka.aba bhii hai kaliisaa bhii
yahii to vaqt hai taqdiir aazmaane kaa
Muztar Khairabadi
Sher
iimaan saath jaa.egaa kyuu.nkar KHudaa ke ghar
ka.abe kaa raasta to kaliisaa se mil gayaa
Muztar Khairabadi
Sher
Abdullateef Shauq
Sher
ka.aba-o-dair-o-kaliisaa kaa tajassus kyuu.n ho
jab mire qalb hii me.n meraa KHudaa hai yaaro
Wahid Premi
Sher
barhaman us ke hai.n shaiKH us ke hai.n raahib us ke
dair us kaa haram us kaa hai kaliisaa us kaa
Nooh Narvi
Sher
ri.nd-mashrab hai.n kisii se hame.n kuchh kaam nahii.n
dair apnaa hai na ka.aba na kaliisaa apnaa
Aagha Akbarabadi
Sher
huu.n vo kaafir ki musalmaano.n ne aksar mujh ko
phuu.nkte kaa'be me.n naaquus-e-kaliisaa dekhaa
Rind Lakhnavi
Sher
rutba-e-kufr hai kis baat me.n kam iimaa.n se
shaukat-e-ka.aba to hai shaan-e-kaliisaa dekho
Rind Lakhnavi
Sher
ye mai-kada hai kaliisaa o KHaanqaah nahii.n
uruuj-e-fikr o faroG-e-nazar kii manzil hai
Ghulam Rabbani Taban
Sher
ye hind hai ai 'mehr' yahaa.n puuj buto.n ko
kyuu.n barahman-e-dair-o-kaliisaa nahii.n honaa