SEARCH RESULTS
Showing search results for "कशिश-ए-काफ़-ए-करम"
Sher MATCHES FOR "कशिश-ए-काफ़-ए-करम"
Sher
haa.e zanjiir-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahaar
aur zindaa.n se nikalnaa tire diivaane kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
fareb-e-abr-e-karam bhii ba.Daa sahaaraa hai
balaa se naKHl-e-tamannaa KHizaa.n-rasiida nahii.n
Yagana Changezi
Sher
kushaada dast-e-karam jab vo be-niyaaz kare
niyaaz-mand na kyuu.n aajizii pe naaz kare
Allama Iqbal
Sher
to.D kar ahd-e-karam naa-aashnaa ho jaa.iye
banda-parvar jaa.iye achchhaa KHafaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Sher
is pursish-e-karam pe to aa.nsuu nikal pa.De
kyaa tuu vahii KHuluus saraapaa hai aaj bhii
Firaq Gorakhpuri
Sher
sham.a kaa shaana-e-iqbaal hai taufiiq-e-karam
Guncha gul hote hii KHud saahab-e-zar hotaa hai
Habeeb Moosavi
Sher
shaayad vo sa.ng-dil ho kabhii maa.il-e-karam
suurat na de yaqiin kii is ehtimaal ko
Sahba Akhtar
Sher
mar ga.e pyaas ke maare to uThaa abr-e-karam
bujh ga.ii bazm to ab sham.a jalaataa kyaa hai
Ahmad Faraz
Sher
yaa abr-e-karam ban ke baras KHushk zamii.n par
yaa pyaas ke sahraa me.n mujhe jiinaa sikhaa de
Wazir Agha
Sher
husn ne dast-e-karam khii.nch liyaa hai kyaa KHuub
ab mujhe bhii havas-e-lazzat-e-aazaar nahii.n
Saghar Nizami
Sher
Farhat Shahzad
Sher
aamaada-e-karam hai ye kis kii nigaah-e-naaz
dil shikva-e-sitam se pashemaa.n hai aaj kyo.n
Ada Jafarey
Sher
dareG chashm-e-karam se na rakh ki ai zaalim
kare hai dil ko mire terii yak nazar mahzuuz
Mah Laqa Chanda
Sher
ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii me.n
ki us ke baa'd se tuufaan-e-tishnagii kam hai
Shahid Siddiqui
Sher
Shaukat Rizvi
Sher
sab ke liye jahaan me.n abr-e-karam hai.n vo
chaaro.n taraf baraste hai.n ik buu.nd idhar nahii.n