SEARCH RESULTS
Showing search results for "कश्मकश"
Sher MATCHES FOR "कश्मकश"
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
soz-e-Gam de ke mujhe us ne ye irshaad kiyaa
jaa tujhe kashmakash-e-dahr se aazaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
zindagii kashmakash-e-vaqt me.n guzrii apnii
din ne jiine na diyaa raat ne marne na diyaa
Ram Riyaz
Sher
hai ajab sii kashmakash dil me.n 'asar'
kis ko bhuule.n kis ko rakkhe.n yaad ham
Asar Akbarabadi
Sher
manzil na milii kashmakash-e-ahl-e-nazar me.n
is bhii.D se mai.n apnii nazar le ke chalaa huu.n
Salik Lakhnavi
Sher
Yagana Changezi
Sher
ajab sii kashmakash tamaam umr saath saath thii
rakhaa jo ruuh kaa bharam to jism meraa mar gayaa
Aleena Itrat
Sher
dushman ga.e to kashmakash-e-dostii ga.ii
dushman ga.e ki dost hamaare chale ga.e
Saifuddin Saif
Sher
ta.ng aate bhii nahii.n kashmakash-e-dahr se log
kyaa tamaashaa hai ki marte bhii nahii.n zahr se log
Sahar Ansari
Sher
din kaT rahe hai.n kashmakash-e-rozgaar me.n
dam ghuT rahaa hai saaya-e-abr-e-bahaar me.n
Majeed Amjad
Sher
Figar Unnavi
Sher
Ain Irfan
Sher
haalaa.nki pahle saa.e se rahtii thii kashmakash
ab apne bojh se hii dabaa jaa rahaa huu.n mai.n
Liaqat Jafri
Sher
ye zindagii hai apnii kabhii KHush kabhii udaas
is kashmakash se mujh ko KHudaayaa rihaa.ii de
Zebunnisaa Zaibii
Sher
is kashmakash se daam ke kyaa kaam thaa hame.n
ai ulfat-e-chaman tiraa KHaana-KHaraab ho
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ba.Dhne lagii yaqiin o gumaa.n me.n jo kashmakash
va.ada bhii sub.h o shaam pe Taltaa chalaa gayaa
Nayyar Sultanpuri
Sher
masruur ho rahe hai.n Gam-e-aashiqii se ham
kyuu.n ta.ng ho.nge kashmakash-e-zindagii se ham