SEARCH RESULTS
Showing search results for "कसरत"
Sher MATCHES FOR "कसरत"
Sher
but nazar aa.e.nge maashuuqo.n kii kasrat hogii
aaj but-KHaana me.n allaah kii qudrat hogii
Aagha Akbarabadi
Sher
Gariibii naam hai jis kaa azaab-e-jaan hotii hai
magar daulat kii kasrat mohlik-e-iimaan hotii hai
Zameer Atraulvi
Sher
in parii-ruuyo.n kii aisii hii agar kasrat rahii
tho.De arsa me.n paristaa.n aagara ho jaa.egaa
Aagha Akbarabadi
Sher
ho gayaa mehmaa.n-saraa-e-kasrat-e-mauhuum aah
vo dil-e-KHaalii ki teraa KHaas KHalvat-KHaana thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
vahdat-e-husn ke jalvo.n kii ye kasrat ai ishq
dil ke har zarre me.n aalam hai parii-KHaane kaa
Fani Badayuni
Sher
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
ishq ne kasrat se jaa kii mujh dil-e-betaab me.n
aa bharaa dariyaa-e-aatish qatra-e-siimaab me.n
Nawal Rai Vafa
Sher
kasrat se mai jo pii hai nazar hai ma.aal par
ra.asha nahii.n hai kaa.np rahaa huu.n gunaah se
Jaleel Manikpuri
Sher
vo is liye ki mohabbat kii rasm zinda rahe
hasiin log ba-kasrat jahaa.n me.n bheje ga.e
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
ka.aba o dair jidhar dekhaa udhar kasrat hai
aah kyaa jaane kidhar gosha-e-tanhaa.ii hai
Raza Azimabadi
Sher
Muneer Shikohabadi
Sher
aaj kal jo kasrat-e-shoriidgaan-e-ishq hai
roz hote jaate hai.n haddaad naukar saik.Do.n