SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़त्ल-गाह"
Sher MATCHES FOR "क़त्ल-गाह"
Sher
banaa hu.aa hai miraa shahr qatl-gaah ko.ii
palaT ke maa.o.n ke laKHt-e-jigar nahii.n aate
Sabir Zafar
Sher
har kuucha sho.ala-zaar hai har shahr qatl-gaah
yak-jehtii-e-hayaat ke aadaab kyaa hu.e
Sahir Ludhianvi
Sher
baa.ndh ke saf ho.n sab kha.De teG ke saath sar jhuke
aaj to qatl-gaah me.n dhuum se ho namaaz-e-ishq
Sahar Bhopali
Sher
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannaa mat puuchh
iid-e-nazzaara hai shamshiir kaa uryaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
dast-e-pur-KHuu.n ko kaf-e-dast-e-nigaaraa.n samjhe
qatl-gah thii jise ham mahfil-e-yaaraa.n samjhe
Majrooh Sultanpuri
Sher
saadiq huu.n apne qaul kaa 'Gaalib' KHudaa gavaah
kahtaa huu.n sach ki jhuuT kii aadat nahii.n mujhe
Mirza Ghalib
Sher
vo mere qatl kaa mulzim hai log kahte hai.n
vo chhuT sake to mujhe bhii gavaah likh liije
Bekal Utsahi
Sher
phaldaar thaa to gaa.nv use puujtaa rahaa
suukhaa to qatl ho gayaa vo be-zabaa.n daraKHt