SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़ातिल,"
Sher MATCHES FOR "क़ातिल,"
Sher
sarfaroshii kii tamannaa ab hamaare dil me.n hai
dekhnaa hai zor kitnaa baazu-e-qaatil me.n hai
Bismil Azimabadi
Sher
mai.n kyaa karuu.n mire qaatil na chaahne par bhii
tire liye mire dil se du.aa nikaltii hai
Ahmad Faraz
Sher
dekhoge to har mo.D pe mil jaa.e.ngii laashe.n
Dhuu.nDoge to is shahr me.n qaatil na milegaa
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
Ahmad Salman
Sher
kaam ab ko.ii na aa.egaa bas ik dil ke sivaa
raaste band hai.n sab kuucha-e-qaatil ke sivaa
Ali Sardar Jafri
Sher
apne qaatil kii zehaanat se pareshaan huu.n mai.n
roz ik maut na.e tarz kii iijaad kare
Parveen Shakir
Sher
jab lage.n zaKHm to qaatil ko du.aa dii jaa.e
hai yahii rasm to ye rasm uThaa dii jaa.e
Jan Nisar Akhtar
Sher
mere hone me.n kisii taur se shaamil ho jaa.o
tum masiihaa nahii.n hote ho to qaatil ho jaa.o
Irfan Siddiqi
Sher
Hasrat Mohani
Sher
qaatil ne kis safaa.ii se dho.ii hai aastii.n
us ko KHabar nahii.n ki lahuu boltaa bhii hai
Iqbal Azeem
Sher
jam gayaa KHuu.n kaf-e-qaatil pe tiraa 'miir' zi-bas
un ne ro ro diyaa kal haath ko dhote dhote
Meer Taqi Meer
Sher
shahr ke aa.iin me.n ye mad bhii likkhii jaa.egii
zinda rahnaa hai to qaatil kii sifaarish chaahiye
Hakeem Manzoor
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
shoKHii se Thahartii nahii.n qaatil kii nazar aaj
ye barq-e-balaa dekhiye girtii hai kidhar aaj