SEARCH RESULTS
Showing search results for "काक"
Sher MATCHES FOR "काक"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
kis kis ko bataa.e.nge judaa.ii kaa sabab ham
tuu mujh se KHafaa hai to zamaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dil de to is mizaaj kaa parvardigaar de
jo ranj kii gha.Dii bhii KHushii se guzaar de
Dagh Dehlvi
Sher
faqat nigaah se hotaa hai faisla dil kaa
na ho nigaah me.n shoKHii to dilbarii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
Jaun Eliya
Sher
agar tumhaarii anaa hii kaa hai savaal to phir
chalo mai.n haath ba.Dhaataa huu.n dostii ke liye
Ahmad Faraz
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ik lafz-e-mohabbat kaa adnaa ye fasaanaa hai
simTe to dil-e-aashiq phaile to zamaana hai