SEARCH RESULTS
Showing search results for "काम"
Sher MATCHES FOR "काम"
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
bas-ki dushvaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa
aadmii ko bhii muyassar nahii.n insaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
Allama Iqbal
Sher
thaknaa bhii laazmii thaa kuchh kaam karte karte
kuchh aur thak gayaa huu.n aaraam karte karte
Zafar Iqbal
Sher
jaate jaate aap itnaa kaam to kiije miraa
yaad kaa saaraa sar-o-saamaa.n jalaate jaa.iye
Jaun Eliya
Sher
Qateel Shifai
Sher
'mus.hafii' ham to ye samjhe the ki hogaa ko.ii zaKHm
tere dil me.n to bahut kaam rafuu kaa niklaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaa.e.nge
jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai
Arzoo Lakhnavi
Sher
naa-umiidii maut se kahtii hai apnaa kaam kar
aas kahtii hai Thahar KHat kaa javaab aane ko hai