SEARCH RESULTS
Showing search results for "कुन"
Sher MATCHES FOR "कुन"
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
is saadgii pe kaun na mar jaa.e ai KHudaa
la.Dte hai.n aur haath me.n talvaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
shaa.irii taaza zamaano.n kii hai me.amaar 'faraaz'
ye bhii ik silsila-e-kun-fayakuu.n hai yuu.n hai
Ahmad Faraz
Sher
us kaa badan hai raag saa raag bhii ek aag saa
aag kaa mas tabaah-kun raag kaa ras tabaah-kun
Ahmad Ata
Sher
kun-fakaa.n ke bhed se maulaa mujhe aagaah kar
kaun huu.n mai.n gar yahaa.n par duusraa ko.ii nahii.n
Amjad Islam Amjad
Sher
lafz-e-kun se ek duniyaa KHalq karnaa thaa kamaal
kun ke aage jo hu.aa us kii kahaanii aur hai
Priyamvada Ilhan
Sher
phir us ke baa'd ko.ii aur dukh banaa hii nahii.n
tabaah-kun thaa faqat kun pukaarnaa us kaa
Shivendra Singh
Sher
ishq rusvaa-kun-e-aalam vo hai 'ahsan' jis se
nek-naamo.n kii bhii bad-naamii o rusvaa.ii hai
Ahsan Marahravi
Sher
nahii.n vo aglii sii raunaq dayaar-e-hastii kii
tabaah-kun ko.ii tuufaan thaa shabaab na thaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
sailaab-e-ishq Garq-kun-e-aql-o-hosh thaa
ik bahar thaa ki shaam-o-sahar garam-josh thaa
Mael Lakhnavi
Sher
naa-KHalaf bas-ki uThii ishq o junuu.n kii aulaad
ko.ii aabaad-kun-e-KHaana-e-zanjiir nahii.n
Hasrat Azimabadi
Sher
Ahmad Ata
Sher
mo'jizaat-e-dast-e-kun dekhnaa thaa so ham ne
pattharo.n pe de maaraa KHud ko aa.iina kar ke
Shehla Kaleem
Sher
Shahbaz Raja
Sher
dast-e-sabaa ke haath me.n kyaa hai ba-juz havaa
KHush-kun to is ko merii tabii'at banaa.egii