SEARCH RESULTS
Showing search results for "कोह"
Sher MATCHES FOR "कोह"
Sher
kaTii hu.ii hai zamii.n koh se samundar tak
milaa hai ghaa.o ye dariyaa ko raasta de kar
Adeem Hashmi
Sher
kyaa farz hai ki sab ko mile ek saa javaab
aa.o na ham bhii sair kare.n koh-e-tuur kii
Mirza Ghalib
Sher
raah-e-ulfat me.n mulaaqaat hu.ii kis kis se
dasht me.n qais milaa koh me.n farhaad mujhe
Mardan Ali Khan Rana
Sher
Ibn e Insha
Sher
muusaa ke sar pe paa.nv hai ahl-e-nigaah kaa
us kii galii me.n KHaak u.Dii koh-e-tuur kii
Qalaq Merathi
Sher
har sang me.n sharaar hai tere zuhuur kaa
muusaa nahii.n jo sair karuu.n koh tuur kaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
allaah-re un ke husn kii mojiz-numaa.iyaa.n
jis baam par vo aa.e.n vahii koh-e-tuur ho
Nooh Narvi
Sher
umr kaa koh-e-giraa.n aur shab-o-roz mire
ye vo patthar hai jo kaTtaa nahii.n aasaanii se
Sarvat Husain
Sher
ba.ad farhaad ke phir koh-kanii mai.n ne kii
ba.ad majnuu.n ke kiyaa mai.n ne bayaabaa.n aabaad
Haidar Ali Aatish
Sher
kyaa kohkan kii koh-kanii kyaa junuun-e-qais
vaadii-e-ishq me.n ye maqaam ibtidaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
koh-e-Gam aur giraa.n aur giraa.n aur giraa.n
Gam-zado teshe ko chamkaa.o ki kuchh raat kaTe
Makhdoom Mohiuddin
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
muusaa ne koh-e-tuur pe dekhaa jo kuchh vahii
aataa hai aarifo.n ko nazar sa.ng-o-KHisht me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sar diije raah-e-ishq me.n par mu.nh na mo.Diye
patthar kii sii lakiir hai ye koh-kan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
yahii.n aanaa hai bhaTaktii hu.ii aavaazo.n ko
ya.anii kuchh baat to hai koh-e-nidaa me.n aisii
Tauqeer Taqi
Sher
'bedaar' raah-e-ishq kisii se na tai hu.ii
sahraa me.n qais koh me.n farhaad rah gayaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
khii.nchaa hai aks qalb kii photograph me.n
shiishe me.n hai shabiih parii koh-e-qaaf me.n