SEARCH RESULTS
Showing search results for "ख़ास"
Sher MATCHES FOR "ख़ास"
Sher
Makhmoor Dehlvi
Sher
us se kuchh KHaas ta'alluq bhii nahii.n hai apnaa
mai.n pareshaan hu.aa jis kii pareshaanii par
Dilawar Ali Aazar
Sher
har ek baat ke yuu.n to diye javaab us ne
jo KHaas baat thii har baar ha.ns ke Taal gayaa
Ahmad Rahi
Sher
ye tarz-e-KHaas hai ko.ii kahaa.n se laa.egaa
jo ham kahe.nge kisii se kahaa na jaa.egaa
Kaleem Aajiz
Sher
Ameer Minai
Sher
jab un kii bazm me.n har KHaas o aam rusvaa hai
ajiib kyaa hai agar meraa naam rusvaa hai
Fayyaz Farooqi
Sher
adaa-e-KHaas se 'Gaalib' hu.aa hai nukta-saraa
salaa-e-aam hai yaaraan-e-nukta-daa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
Unknown
Sher
gayaa qariib jo parvaana rah gayaa jal kar
jamaal KHaas hado.n tak jamaal hotaa hai
Urooj Zaidi Badayuni
Sher
apnii mahfil me.n raqiibo.n ko bulaayaa us ne
un me.n bhii KHaas unhe.n jin kii zaruurat dekhii
Muztar Khairabadi
Sher
zindagii dekh tirii KHaas ri.aayat hogii
ik mohabbat hai mire paas agar karne de
Rana Amir Liyaqat
Sher
kuchh rabt-e-KHaas asl kaa zaahir ke saath hai
KHushbuu u.De to u.Dtaa hai phuulo.n kaa rang bhii
Aftab Hussain
Sher
Gazal fazaa bhii Dhuu.nDtii hai apne KHaas rang kii
hamaaraa mas.ala faqat qalam davaat hii nahii.n
Aitbar Sajid
Sher
yuu.n ma.aanii se bahut KHaas hai rishta apnaa
zindagii kaT ga.ii lafzo.n ko KHabar karne me.n