SEARCH RESULTS
Showing search results for "ख़ुद-फ़रेबी"
Sher MATCHES FOR "ख़ुद-फ़रेबी"
Sher
ye KHud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzuu to nahii.n
tirii talaash kahii.n apnii justujuu to nahii.n
Ummeed Fazli
Sher
aur kyaa mafhuum hogaa KHud-farebii ke sivaa
tishnagii jalte hu.e suuraj pe gar zaahir kare.n
Badr Muneer
Sher
aadmii jaan ke khaataa hai mohabbat me.n fareb
KHud-farebii hii mohabbat kaa sila ho jaise
Iqbal Azeem
Sher
ik baar agar qafas kii havaa raas aa ga.ii
ai KHud-fareb phir havas-e-baal-o-par kahaa.n
Jagan Nath Azad
Sher
sab se ba.Daa fareb hai KHud zindagii 'adaa'
is hiila-juu ke saath hai.n ham bhii bahaana-saaz
Ada Jafarey
Sher
Abdullateef Shauq
Sher
jab se fareb-e-ziist me.n aane lagaa huu.n mai.n
KHud apnii mushkilo.n ko ba.Dhaane lagaa huu.n mai.n
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
Sher
fareb-e-karam ik to un kaa hai is par
sitam merii KHush-fahmiyaa.n aur bhii hai.n
Fazl Ahmad kariim Fazli
Sher
KHudaa kare kahii.n mai-KHaane kii taraf na mu.De
vo mohtasib kii savaarii fareb-e-raah rukii
Habeeb Moosavi
Sher
KHudaa ke naam pe kyaa kyaa fareb dete hai.n
zamaana-saaz ye rahbar bhii mai.n bhii duniyaa bhii
Mansoor Usmani
Sher
savaal ye hai ki is pur-fareb duniyaa me.n
KHudaa ke naam pe kis kis kaa ehtiraam kare.n