SEARCH RESULTS
Showing search results for "ख़ुश-बाश"
Sher MATCHES FOR "ख़ुश-बाश"
Sher
ghar bhii viiraana lage taaza havaa.o.n ke baGair
baad-e-KHush-ra.ng chale dasht bhii ghar lagtaa hai
Bakhsh Layalpuri
Sher
chhoTii sii baat pe KHush honaa mujhe aataa thaa
par ba.Dii baat pe chup rahnaa tumhii se siikhaa
Zehra Nigaah
Sher
muddat ke baad KHvaab me.n aayaa thaa meraa baap
aur us ne mujh se itnaa kahaa KHush rahaa karo
Abbas Tabish
Sher
ye kaisii baat hu.ii hai ki dekh kar KHush hai
vo aa.nsu.o.n ke samundar ke darmiyaan mujhe
Saqi Faruqi
Sher
vo KHush kisii ke saath hai.n naa-KHush kisii ke saath
har aadmii kii baat hai har aadmii ke saath
Rasa Rampuri
Sher
be-aarzuu bhii KHush hai.n zamaane me.n baaz log
yaa.n aarzuu ke saath bhii jiinaa haraam hai
Shuja Khaavar
Sher
KHush-shakl bhii hai vo ye alag baat hai magar
ham ko zahiin log hamesha pasand the
Javed Akhtar
Sher
ko.ii jis baat se KHush hai to KHafaa duusraa hai
kuchh bhii kahne me.n kisii se yahii dushvaarii hai
Manmohan Talkh
Sher
tuu lutf kare yaa na kare KHush ho ki naa-KHush
is baat pe martaa huu.n ki aashiq huu.n tiraa mai.n
Khuda Bakhsh Qaisar
Sher
KHushii kii baat aur hai Gamo.n kii baat aur
tumhaarii baat aur hai hamaarii baat aur
Anwar Taban
Sher
ik arse baad hu.ii khul ke guftuguu us se
ik arse baad vo kaa.nTaa chubhaa hu.aa niklaa
Khawer Eijaz
Sher
kabhii KHud pe kabhii haalaat pe ronaa aayaa
baat niklii to har ik baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
yuu.n KHush na ho ai shahr-e-nigaaraa.n ke dar o baam
ye vaadi-e-saffaak bhii rahne kii nahii.n hai
Kabir Ajmal
Sher
milnaa na milnaa ye to muqaddar kii baat hai
tum KHush raho raho mire pyaare jahaa.n kahii.n