SEARCH RESULTS
Showing search results for "गरज"
Sher MATCHES FOR "गरज"
Sher
Garaz ki kaaT diye zindagii ke din ai dost
vo terii yaad me.n ho.n yaa tujhe bhulaane me.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Shahab Jafri
Sher
judaa kisii se kisii kaa Garaz habiib na ho
ye daaG vo hai ki dushman ko bhii nasiib na ho
Nazeer Akbarabadi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
kis mu.nh se kah rahe ho hame.n kuchh Garaz nahii.n
kis mu.nh se tum ne va.ada kiyaa thaa nibaah kaa
Hafeez Jalandhari
Sher
mujh ko na dil pasand na vo bevafaa pasand
dono.n hai.n KHud-Garaz mujhe dono.n hai.n naa-pasand
Bekhud Dehlvi
Sher
mai se Garaz nashaat hai kis ruu-siyaah ko
ik-guuna be-KHudii mujhe din raat chaahiye
Mirza Ghalib
Sher
naaquus se Garaz hai na matlab azaa.n se hai
mujh ko agar hai ishq to hindostaa.n se hai
Zafar Ali Khan
Sher
ham ko bhii dushmanii se tire kaam kuchh nahii.n
tujh ko agar hamaare nahii.n pyaar se Garaz
Meer Hasan
Sher
ka.abe se Garaz us ko na but-KHaane se matlab
aashiq jo tiraa hai na idhar kaa na udhar kaa
Shah Naseer
Sher
Meer Hasan
Sher
Garaz kufr se kuchh na dii.n se hai matlab
tamaashaa-e-dair-o-haram dekhte hai.n