SEARCH RESULTS
Showing search results for "गाम"
Sher MATCHES FOR "गाम"
Sher
dil naa-umiid to nahii.n naakaam hii to hai
lambii hai Gam kii shaam magar shaam hii to hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
Behzad Lakhnavi
Sher
is a.ndhere me.n na ik gaam bhii ruknaa yaaro
ab to ik duusre kii aahaTe.n kaam aa.e.ngii
Rajinder Manchanda Bani
Sher
chashm-e-saaqii mujhe har gaam pe yaad aatii hai
raastaa bhuul na jaa.uu.n kahii.n maiKHaane kaa
Iqbal Safi Puri
Sher
apne hii saa.e se har gaam laraz jaataa huu.n
mujh se tai hii nahii.n hotii hai masaafat merii
Sarfaraz Khalid
Sher
din ke siine me.n dha.Dakte hu.e lamho.n kii qasam
shab kii raftaar-e-subuk-gaam se jii Dartaa hai
Javed Kamal Rampuri
Sher
saudaa hai zamiiro.n kaa har gaam tijaarat hai
chup huu.n to qayaamat hai boluu.n to baGaavat hai
Gulnar Aafreen
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
Allama Iqbal
Sher
na chaaho tum to har ik gaam kitnii diivaare.n
jo chaaho tum to milan kii hazaar suurat hai
Khalilur Rahman Azmi
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne mahmil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
is raah-e-mohabbat me.n tuu saath agar hotaa
har gaam pe gul khilte KHushbuu kaa safar hotaa
Alamtaab Tishna
Sher
Akhtar lakhnvi
Sher
aazaadii kii dhuume.n hai.n shohre hai.n taraqqii ke
har gaam hai paspaa.ii har vaz.a Gulaamaana
Majnoon Gorakhpuri
Sher
mai.n ne har gaam use avval o aaKHir jaanaa
lekin us ne mujhe lamho.n kaa musaafir jaanaa