SEARCH RESULTS
Showing search results for "गुंजाइश-ए-अदावत-ए-अग़्यार"
Sher MATCHES FOR "गुंजाइश-ए-अदावत-ए-अग़्यार"
Sher
gunjaa.ish-e-adaavat-e-aGyaar yak taraf
yaa.n dil me.n zof se havas-e-yaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
gunjaa.ish-e-do-shaah nahii.n ek mulk me.n
vahdaaniyat ke haq kii yahii bas daliil hai
Sher Mohammad Khan Iman
Sher
gunjaa.ish-e-afsos nikal aatii hai har roz
masruuf nahii.n rahtaa huu.n fursat ke baraabar
Abrar Ahmad
Sher
bazm-e-aGyaar me.n us ne mujhe daryaaft kiyaa
ba.ad muddat ke use yaad mirii aa.ii hai
Mohammad Wilayatullah
Sher
zo.af me.n ta.ana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Sher
raaz-e-nihaa.n zabaan-e-aGyaar tak na pahu.nchaa
kyaa ek bhii hamaaraa KHat yaar tak na pahu.nchaa
Momin Khan Momin
Sher
mahaktii zulfo.n se KHoshe gulo.n ke chhuuT gire
kuchh aur jaise ki gunjaa.ish-e-bahaar na thii
Zeb Ghauri
Sher
ghar kii viiraanii ko kyaa ro.uu.n ki ye pahle sii
ta.ng itnaa hai ki gunjaa.ish-e-ta.amiir nahii.n
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
jab se kuchh qaabuu hai apnaa kaakul-e-KHamdaar par
saa.np har dam loTtaa hai siina-e-aGyaar par
Haqeer
Sher
dushmanii jam kar karo lekin ye gunjaa.ish rahe
jab kabhii ham dost ho jaa.e.n to sharminda na ho.n
Bashir Badr
Sher
qabiila-vaar adaavat kaa silsila 'taariq'
fasaad-e-shahr kii suurat me.n ab bhii chaltaa hai
Shamim Tariq
Sher
silsila gabruu musalmaa.n kii adaavat kaa miTaa
ai parii be-parda ho kar sub.ha-e-zunnaar to.D