SEARCH RESULTS
Showing search results for "गुज़िश्ता"
Sher MATCHES FOR "गुज़िश्ता"
Sher
har nafas umr-e-guzishta kii hai mayyat 'faanii'
zindagii naam hai mar mar ke jiye jaane kaa
Fani Badayuni
Sher
guzishta saal ko.ii maslahat rahii hogii
guzishta saal ke sukh ab ke saal de maulaa
Liyaqat Ali Aasim
Sher
Priyamvada Ilhan
Sher
guzishta saal jo dekhaa vo ab kii saal nahii.n
zamaana ek saa bas har baras nahii.n chaltaa
George Puech Shor
Sher
mai.n ki apnaa hii pata puuchh rahaa huu.n sab se
kho ga.ii jaane kahaa.n umr-e-guzishta merii
Lutf-ur-rahman
Sher
ek lamhe ko sahii us ne mujhe dekhaa to hai
aaj kaa mausam guzishta roz se achchhaa to hai
Azhar Adeeb
Sher
mirii umr-e-guzishta kii haqiiqat puuchhne vaalo
mujhe vo umr umr-e-raa.egaa.n maaluum hotii hai
Nazneen Begum Naz
Sher
guzishta rut kaa amii.n huu.n na.e makaan me.n bhii
puraanii ii.nT se taamiir kartaa rahtaa huu.n
Alam Khursheed
Sher
ham aise log jo aa.inda o guzishta hai.n
hamaare ahd ko maujuud se tahii kiyaa jaa.e
Hammad Niyazi
Sher
vo bhii na aayaa umr-e-guzishta ke misl hii
ham bhii kha.De rahe dar-o-diivaar kii tarah
Sarfaraz Khalid
Sher
ye kahii.n umr-e-guzishta to nahii.n tum to nahii.n
ko.ii phirtaa hai sar-e-shahr-e-vafaa aavaara
Akhtar Hoshiyarpuri
Sher
Asif Bilal
Sher
Asif Bilal
Sher
aa.nkh se duur na ho dil se utar jaa.egaa
vaqt kaa kyaa hai guzartaa hai guzar jaa.egaa
Ahmad Faraz
Sher
ab to is raah se vo shaKHs guzartaa bhii nahii.n
ab kis ummiid pe darvaaze se jhaa.nke ko.ii