SEARCH RESULTS
Showing search results for "गोश-ए-बेहोश"
Sher MATCHES FOR "गोश-ए-बेहोश"
Sher
gosh-e-mushtaaq-e-sadaa-e-naala-e-dil ab kahaa.n
sher agar dil ke lahuu me.n Duub kar nikle to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
hisaar-e-gosh-e-samaa.at kii dastaras me.n kahaa.n
tuu vo sadaa jo faqat jism ko sunaa.ii de
Musavvir Sabzwari
Sher
parda-e-gosh-e-asiiraa.n na hu.ii ik shab-e-garm
paa.nv kis murde kaa yaa-rab mirii zanjiir me.n thaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dilo.n me.n nuur hai tarsiil-e-gosh-e-kar bhii ho
payaam jaate nahii.n tarz-e-lan-taraanii me.n
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
phuu.nkaa hai kis ne gosh-e-mohabbat me.n ai KHudaa
afsuun-e-intizaar tamannaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
phir gayaa aa.nkho.n me.n us kaan ke motii kaa KHayaal
gosh-e-gul tak na ko.ii qatra-e-shabnam aayaa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
shaayad usii kaa zikr ho yaaro mai.n is liye
suntaa huu.n gosh-e-dil se har ik mard-o-zan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
tuu gosh-e-dil se sune us ko gar but-e-be-mehr
fasaana turfa hai aur maajraa hai zor miraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sabaq aa ke gor-e-Gariibaa.n se le lo
KHamoshii mudarris hai is anjuman me.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
gosha-e-dil kii KHamoshii kaa tamannaa.ii mai.n
aur ha.ngaame uThaa laayaa hai baazaar se tuu
Shahzad Ahmad
Sher
mat gor-e-Gariibaa.n par gho.De ko kudaa.o yuu.n
kyuu.n apne shahiido.n ke aasaar miTaate ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ka.aba o dair jidhar dekhaa udhar kasrat hai
aah kyaa jaane kidhar gosha-e-tanhaa.ii hai
Raza Azimabadi
Sher
sham.e.n afsurda jahaa.n phuul hai.n pazhmurda jahaa.n
dil ko us gor-e-Gariibaa.n me.n pukaaraa hotaa