SEARCH RESULTS
Showing search results for "चमचा"
Sher MATCHES FOR "चमचा"
Sher
ham aah bhii karte hai.n to ho jaate hai.n badnaam
vo qatl bhii karte hai.n to charchaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Sher
Ibn e Insha
Sher
apnii rusvaa.ii tire naam kaa charchaa dekhuu.n
ik zaraa sher kahuu.n aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.n
Parveen Shakir
Sher
kyaa milaa tum ko mire ishq kaa charchaa kar ke
tum bhii rusvaa hu.e aaKHir mujhe rusvaa kar ke
Unknown
Sher
jaise baarish se dhule sehn-e-gulistaa.n 'amjad'
aa.nkh jab KHushk hu.ii aur bhii chehraa chamkaa
Amjad Islam Amjad
Sher
Zubair Rizvi
Sher
charchaa hamaaraa ishq ne kyuu.n jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Sher
haath me.n chaa.nd jahaa.n aayaa muqaddar chamkaa
sab badal jaa.egaa qismat kaa likhaa jaam uThaa
Bashir Badr
Sher
yuu.n to har raat chamakte hai.n sitaare lekin
vasl kii raat bahut sub.h kaa taaraa chamkaa
Amjad Islam Amjad
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
Chandrabhan Khayal
Sher
shahr me.n galiyo.n galiyo.n jis kaa charchaa hai
vo afsaana teraa bhii hai meraa bhii
Shahid Kabir
Sher
zaraa sii der ko us ne palaT ke dekhaa thaa
zaraa sii baat kaa charchaa kahaa.n kahaa.n hu.aa hai
Khurshid Rabbani
Sher
na zikr gul kaa kahii.n hai na maahtaab kaa hai
tamaam shahr me.n charchaa tire shabaab kaa hai
Sada Ambalvi
Sher
gardish-e-vaqt ko KHaatir me.n na laane vaalii
shahr me.n do na.ii aa.nkho.n kaa ba.Daa charchaa hai
Unknown
Sher
mardo.n ko sab ravaa pa hai aurat ko naaravaa
sharm-o-hayaa kaa shahr me.n charchaa bhii hai ajab